Sunday, 6 June 2010

Tiflaan-e-Koocha Gard K Pat'thar Bhi Kuch Nahin

"Tiflaan-e-Koocha Gard K Pat'thar Bhi Kuch Nahin"
By John Elia

Tiflaan-e-koocha gard k pat'thar bhi kuch nahiN

Sauda bhi aik wehm hai aur sar bhi kuch nahiN

MaiN aur khud ko tujh sey chupaaoNga, yaani maiN??
Ley dekh ley miaN mrey andar bhi kuch nahiN

Bas ik ghubaar-e-wehm hai ik koocha gard ka
Deewaar-e-bood kuch nahiN aur dar bhi kuch nahiN

Yeh Shehr daar O' Mohtasib O' Maulavi hi kia
Peer-e-muGhaan O' Rind O' Qalander bhi kuch nahiN

Shaikh-e-haraam luqma ki parwa hai kyuN tumheiN?
Masjid bhi us ki kuch nahiN,mimber bhi kuch nahiN

Maqdoor apna kuch bhi nahiN is dayaar meiN
Shaayad wo jabr hai k muqaddar bhi kuch nahiN

Jaani ! maiN terey naaf piyaaley pey hooN fida
Yeh aur baat hai tra peikar bhi kuch nahiN

Yeh shab ka raqs O' rang hi kia,sun mri kahann
Subh-e-shataab-e-kosh ka daftar bhi kuch nahiN

Bas ik Ghubaar-e-taur gumaaN ka hai teh ba teh
Yaani nazar bhi kuch nahiN,manzar bhi kuch nahiN

Hai ab to aik haal-e-sukoon-e-hameshagi
Parwaaz ka to zikr hi kia,par bhi kuch nahiN

Kitna Daraaoona hai yeh shehr-e-nabood o bood
Aesa Daraaoona k yahaN Darr bhi kuch nahiN

Pehlu meiN hai jo merey kaheeN aur hai wo shakhs
Yaani wafa-e-ehd ka bistar bhi kuch nahiN

Nisbat meiN inn ki jo hai azeeyat wo hai magar
Sheh rag bhi koi shey nahiN aur sar bhi kuch nahiN

YaaraaN ! tumheiN jo mujh sey gila hai to kis liye?
Mujh ko to aetraaz Khuda par bhi kuch nahiN

Guzrey gi John meiN rishtoN k kis tarah?
Dil meiN bhi kuch nahiN hai,zabaaN par bhi kuch nahiN


Classical Poetry of John Elia Click Here To Read More Poetry of
John Elia

No comments:

Post a Comment