Monday, 7 June 2010

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho

"Ek Baar Kaho Tum Meri Ho"


Hum ghoom chuke basti ban main
ik aas ki phans leye man main
koi sajan ho, koi piyara ho
koi depak ho, koi tara ho
jab jewan raat undhairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


jab sawan badal chaay hoon

jab phagan phool khilaay hoon
jab chanda roop lutata ho
jab soraj dhoop nahata ho
ya shaam nay basti ghairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


haan dill ka daman phaila hay

kyu gori ka dill maila hay
hum kab tak peet k dhoke main
tum kab tak door jharoke main
kab deed sey dill ko sairi ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


kiya jhagra sood khasare ka

ye kaaj nahi banjaare ka
sab sona roopa lay jaay
sab duniya, duniya lay jaay
tum aik mujhe bohteri ho

Ek Baar Kaho Tum Meri Ho


By Ibn-e-Insha


No comments:

Post a Comment