Thursday, 10 June 2010

Kahin Aarzo-e-Safar Nahe, Kahin Manzilon Ko Khabar Nahe

Kahin Aarzo-e-Safar Nahe, Kahin Manzilon Ko Khabar Nahe
Kahin Raasta He Andher Hai, Kahin Paa Nahe Kahin Par Nahe

Mujhy Izteraab Ki Chaah Thi, Mujhy Be_Kali Ki Talaash Thi
Un he Khwahishaat K Jurm Mein Koi Ghar Nahe, Koi Dar Nahe

Koi Chaand Tootay Ya Dil Jalay Ya Zameen Kahin Say Ubal Parray
Hum Aaseer Surat-e-Haal Hain, Humein Hadsaat Ka Dar Nahe

Aye Hawa-e-Ghum Zara Meray Saath Reh, Meray Saath Chal
Meray Saath Meray Qadam Nahe Meray Saath Meri Nazar Nahe

Ye Umar Bhar Ki Riazatein, Ye Nagar Nagar Ki Musafatein
Ye Rog Hain Mah-o-Saal K, Ye Gardishein Hain Safar Nahe... .


Click Here And Read More Urdu Ghazals

No comments:

Post a Comment