Friday, 18 June 2010

Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai

"Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai"


Samaan-E-Tijarat Mera Iman Nahi Hai

Har Dar Pe Jhuke Sar Yeh Meri Shaan Nahi Hai


Har Lafz Ko Seene Mein Basa Lo To Bane Baat
Taaqon Mein Sajane Ko Yeh Quraan Nahi Hai


Allah! Mere rizq ki barkat na chali jaaye
Do Roz Se Ghar Mein Koi Mehman Nahi Hai


Ham Ne Banaye To Hai Samandar Mein Bhi Raaste
Yun Haam Ko Mitaana Koi Asaan Nahi Hai

Voh Jis Ko Buzurgon Ki Rivayat Na Rahe Yaad
Us Shakhs Ki Logo Koi Pehchaan Nahi Hai


Do Char Umeedon Ke Diye Ab Bhi Hai Roshan
Maazi Ki Haveli Abhi Veeran Nahi Hai


Main Teri Mohabbat Mein Giraftar Hoon Lekin
Tujh Ko Main Khuda Samjhun Yeh Imkaan Nahi Hai


Phoolon Ki Jagah Jalte Huye Lafz Sache Hain
Ab Mez Pe Akhbaar Hai Guldaan Nahi Hai


‘Majid’ Yeh Mera Sher Mere Ahd Ki Tasveer
‘Ghalib’ Ki Ghazal ‘Mir’ Ka Divan Nahi Hai



Click Here And Read More Classical Poetry of Classical Poets

No comments:

Post a Comment