Monday, 10 January 2011

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din theher ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnae aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e- naz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ka dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o- shayari se shaghuf
So hum bhi mojaze apne hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharate hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat usey chand takta rehta hai
Sitare baam-e- falak se utar ke dekhte hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usey titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno theher ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

siyah chashm to dekhey hain par na aese bhi
So us ko surma farosh aah bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So hum bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasaal hai jabin us ki
Jo saada dil hai usey ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur he lal-o- gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e- tassawar se dasht-e- imkan main
Palang zawaiye us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aise hain
Ke phool apani qabayain qatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e- muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ik nigah se loota hai qafila dil ka
So raherwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ki shabistan se mutasil hai bahisht
Makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

Rukey tu gardishein us ka tawaaf karti hain
Chaley to us ko zamaney theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be perahan usey dekhay
Kabhi kabhi dar-o- deewar ghar ke dekhte hain

Khaniyan hi sahi sab mubaalghey hi sahi
Agar woh khwab hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher mein theherein ki kooch kar jayein
�Faraz� aao sitare safar ke dekhte hain

By: Ahmed Faraz

No comments:

Post a Comment