Kuch deir hamare sath raho ,
kuch apne rang bikharne do , kuch apni khushboo bikhraoo ,
aur shereen shabnumi lehje mein , koi naram mulaaim baat karo ,
jis lamhe mein mojood hain hum , ye lamha mauj hai saghir ki ,
Tum is lamhe ke sath bahoo ,
Kuch deir hamare sath raho ,
tareeekh ke jabr ki baat hai kya , Hum dono ki oqaat hai kya ,
Kuch roop ka sona daan karo , Khairaat apni muskan karo ,
Hum jaise shair logon ka , jeena marna asaan karo ,
Sandal si bahein phailao , Kuch nazmein ghazlein de jao,
Jo shayed baqi reh jaain , Phir do so saal ke bad koi
Naqash kamal e fun kar de , Apni har poor qalam kar de
Aur raj kattaas ke pathar par , ik lok riwayat naqsh kar de
Hum dono ko tamseel kare, Aina aks ba aks kare
Jis aks pe khushboo lehraye , Jis naqsh pe titli raqs kare
Phir aik hazar baras guzrein , Phir char hazar baras guzrein,
Aasar shinasi ke mahir, is dor ki jab tahqeeq Karen
Is rasmul khat ko pehchane, is lamhe ki tasdeeq Karen
Ye lamha qaim o daim ho , Is lamhe ki sab komalta
us ehed e shayer tak pohanche , ye qissa akhir tak pohanche
Kuch deir hamare sath raho
Koi kia jaane, lamha bhar mein, ye lamha apne sath na ho
Kuch deir hamare sath raho
By: Dr Kosar Mehmood
No comments:
Post a Comment