Tuesday, 18 January 2011

Sun To Sahi Jahan Main - Haider Ali Aatish



Sun to sahi jahan main hai tera fasana kya

Kehti hai tujh ko khalq-e-Khuda ghaibana kya

Charon taraf se surat-e-janaan ho jalwa gar

Dil saaf ho tera to hai aaina khana kya

Tibl-o-ilm hi pass hai apne na mulk-o-maal

Hum se khilaaf ho k karega zamana kya

Aati hia kis taraf se mere qabz-e-rooh ko

Dekhon to maut dhond rahi hai bahana kya

Yun mudaye hasad se na de daad tu na de

�Aatish� ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya

No comments:

Post a Comment