Sad Poetry - Find latest sad poetry in Urdu and English. Famous sad shayari images, love poems, famous quotes pics, and 2 lines short poetry. Read sad poetry
Monday, 31 January 2011
Saaf Jab Tak Na Tere - Urdu Ghazal
Saaf jab tak na tere zehen k jalae hon gay
Kese tehreer mohabbat k maqalay hon gay
Kya humain neend bhi aaye gi teri khuwahish par
Kya faqat khwab hi hum dekhne walay hon gay
Is tarah dasht_e_mohabbat se guzar jaon ga
Jism zakhmi na mere paon main chaale hon gay
Kese ho gi meri chaht ki amanat mehfooz
Us ne ab tk mere khat kese sambhale hon gay
Ghar k andr bhi koi mujh pe tawajjah deta
Ghar k bahir to kayi chahne wale hon gay
Jab masihaai ki tareekh likhi jaye gi
Us mai shamil mere zakhmon k hawale hon gay
Jin Rahon Pe Ik Umer - Sad Ghazal
Jin rahon pe ik umar tere sath chaly hum
Arsa hua wo rasty sunsaan bohat hain
Mil jao k kabhi Lout k Phir aaun na shayed
Kamzor hun main, rah mein toofan bohat hain
Ek tum hi Nahi meri Judai main Pareshaan
Hum bhi to teri chah main veraan bohat hain
Is tark-e-wafa pe mein usey kesy bhula dun
Mujh par abhi us shakhs k Ehsan bohat hain
Bhar aaey na Aankhain to main ik baat bataun
Ab dunya se juda hone k imkaan bohat hain
Hawa K Zour Se - Ahmed Faraz
Hawa k zour se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
Chiragh ko jo bachate the, un ka ghar bhi gaya
Pukarte rahe mehfooz kishtiyun waale
Main Doobta hua darya k paar utar bhi gaya
Ab ehtiyaat ki diwaar kya uthate ho
Jo chor dil main chupa tha wo kaam kar bhi gaya
Main chup raha k is main thi aafiyat jaan ki
Koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya
Sulaghte sochte weraan mausamon ki tarah
Kara tha ehad-e-jawani magar guzar bhi gaya
Jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
Jo naam dil main raha zehan se utar bhi gaya
Phati phati huye ankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talash hai jis ki wo shakhs mar bhi gaya
Magar falak ki adawat ussi k ghar se na thi
Jahan "Faraz" na tha sayel-e-Gham udhar bhi gaya
Muhabbat Kam Nahi Hoti Beautiful Poem
Muhabbat Thehar Jaati Hai
Hum aksar ye samajhte hain
Jise hum pyar karte hain
Usse hum chor sakte hain
Magar! Aisa nahi hota
Muhabbat Daimi such hai
Muhabbat tehar jaati hai
Hamari baat k ander
Hamari zaat k ander
Magar ye kam nahi hoti
Kisi b dukh ki soorat main
Kabhi koi zarorat main
Kabhi anjaan se gham main
Hamari ankh k ander
Kabhi aab-e-rawaan ban kar
Kabhi qatre ki soorat main
Muhabbat thehar jaati hai
Ye hargiz kam nahi hoti
Sunday, 30 January 2011
Iqbal Tere Dais Ka Kya Haal By Meer Ul Islam Hashmi
Reza Reza Sapnon Wale - Nice Ghazal
Reza Reza Sapnon Waale, Toote Chehre Aadhe loog
Jaan waale kab aatae hian, kyun karte hain waade loog
Aas main Bethi Shehzadi ki, maang main Chaandi jhank chuki
Itni dair se kyun Aate hain Aakhir ye Shehzade loog??
Piyar ki raah pe ungli thaame, andha'dhund chal parte hain
Na Samjhi main mar jaate hain, hum se Seedhe sadhe loog
Hum dono main kon hai mujrim, ye tey hona Mushkil hai
Aadha Shehar tha haami uska, sath the mere Aadhy loog
Saturday, 29 January 2011
Ik Baar Muskurado By Munni Begum
Ik Baar Muskurado
Famous Ghazal By Munni Begum
Firdoos jhoom uthe, fiza muskura uthe
Tum muskura utho to, Khuda muskura uthe
Ik baar muskurado, Ik baar muskurado
Afsana-e-Chaman ka
Unwan hi badal do
Pholon ka sar kuchal do
Kaliyun ka dil masal do
Aakhash ki jawani
Badal main mun chupaye
Mahtaab doob jaye
Taron ko nend aaye
Zohra jabeen pari rukh
Tamseer-e-Mah o anjum
Ankhen sharaab aahen
Jazbaat main talatum
Hilte hue labon per, hasta hua tarana
Aye dil Nawaz pekar, khatir main hai zamana
Lab haye rehbari per
Nikhri hue hai laali
Ye halki halki surkhi
Tasweer hai shafaq ki
Awara shokh zulfen
Rukhsaar choomti hain
Bekhud hi ghoomti hai
Ho zeest ka sahara, tum mouj main kinara
Lakin suno Khudara,
Ik baar muskurado, Ik baar muskurado
Ik nojawan musafir,
Fitrat talaat baali
Ik aalam-e-junoon main
Ik simt jar raha tha
Jese k apne dhun main
Parbat pe charh raha tha
Zulfen k muntashir thi
Chehre se muzmayen tha
Nazren k rah per thi
Ik nashikast-e-dil tha
Maazi k ghonghaton main
Ik aks pa raha tha
Bhoola hua zamana
Phir yaad araha tha
Armaan tarap rahe the
Hasrat machal rahi thi
Betaab zindagani, karwat badal rahi thi
Gin gin taare haye bechare
Chen na aaye, jee ghabraye
Dekh to kya hai, kon basa hai
Deeda-e-tar main, Niche nazar main
Shisha-e-dil main, ankh k til main
Dil ko jalana khel hai janan,
Dil ko jala kar, aag laga kar
Khud bhi jaloge, hath maloge,
Tum shama-e-Firozan ho
Khud bhi jalo jalado lakin
Ik baar muskurado, Ik baar muskurado
Tum jaan-e-mudah ho
Ik husn-e-dil ruba ho
Itna to main kahonga
Mere hi is ghazal ka
Rangeen kafia ho
Ik baat tum se pochon?
Bolo jawaab doge?
Ye husn ye jawani
Sarkaar kya karoge?
Honton ki muskurahat,
Becho khareed longa
Manzoor ho to bolo
Anmol daam donga
Lakin
Ik baar muskurado, ik baar muskurado
Faiz Ahmed Faiz Ghazal - Kabhi Kabhi Yaad Main
Kabhi kabhi yaad main ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se
Wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbaten si, wo fasle se
Kabhi kabhi aarzu k sehra main, aa k rukte hain qafle se
Wo saari baten lagao ki si, wo saare unwaan wisaal k se
Nigha-o-Dil ko qarar kesa, Nishaat-o-gham main, kami kahan ki
Wo jab mile hain, to un se har baar, ki hia ulfat naye sire se
Bohat giran hai ye aish-e-tanha, kahin sabak tar, kahin gawara
Wo dard-e-pinhan k sari dunya, rafiq thi jis k waste se
Tumhe kaho, k rind-o-mustahib main, hai aj shab kon fark aisa?
Ye aa k bethe hain mekade main, wo uth k aaye hain makade se
Friday, 28 January 2011
Mile Hawaaon Main - Ghazal By Waseem Barelvi
Mile hawaaon main urne ki ye saza yaron
Main zameen k rishton se kat gaya yaron
Wo bekhayal musafir, main rasta yaron
Kahan tha bas main mere us ko rokna yaron
Mere qalam pe zamne ki gard aise thi
K apne bare main kuch bhi na likh saka yaron
Jo beshumar dilon ki nazar main rehta tha
Wo apne bachon ko ek ghar na desaka yaron
Janab-e-�Meer� Ki khud gharziyun main
Miyan �Waseem� k kehne ko kya bacha yaron
Main Is Umeed Per - Ghazal By Famous Poet Waseem Barelvi
Waseem Barelvi
Main is umeed pe dooba k tu bacha lega
Ab is k baad mera imtehaan kya lega
Ye aik mela hai waada kisi se kya lega
Dhalega din to har ik apna rasta lega
Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaonga
Koi chiragh nahi hon jo phir jala lega
Kaleja chahiye dushman se dushmani k lye
Jo be amal hai wo badla kisi se kya lega
Hazar tor k aa jaon us se rishta "Waseem"
Main janta hon wo jab chahega bula lega
Wussat e dasht e hijr - Nice Ghazal By Wasi Shah
Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hon
Tujh Say Agy Ka Safar Dekh K Dar Jata Hon
Roz Dhalty Howey Suraj Ki Tarha, Sham Gaye
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hon
Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi
Main Bhi Raton Ko Zara Dair Se Ghar Jata Hon
Main Ne Bhi Jurm-E-Baghawat K Sitam Jhiley Hain
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hon
Chal Para Hon Main Zamany K usolon Pe "WASI"
Main Bhi Ab Apni hi Baton Sy Mukar Jata Hon
Khirki Chand Kitaab Or Main - Urdu Poem
Khirki Chand Kitaab Or Main
Muddat Se Ik Baab Or Main
Shab Bhar Khelen Apas Main
Do Ankhen, Ik Khuab Or Main
Mauj Or Kashti Sahil Per
Darya Main Gardaab Or Main
Sham, Udaasi, Khamoshi
Kuch Kankar Talaab Or Main
Har Shab Pakre Jaate Hain
Gehri Neend, Kitaab Or Main
Thursday, 27 January 2011
Jab Joban Tera Dhal Jaye - Beautiful Urdu Poem
Jab Joban Tera Dhal Jaye
Jab Pyar Ki Umer Niakl Jaye
Jab Chor De Tujh Ko Husn Tera
Jab Chehra Pur Ho Jhurion Se
Jab Zulf Ke Kham Na Baqi Hun
Jab Rangat Na ho Galon Mein
Jab Chandni Utare Balon Me
Jab Ankh Ki Masti Toot Chuke
Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaein
Jab chor Dein Tujh Ko Sub Sathi
Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye
Tab.!
Mere Pas Chale Aana
"Basti" Ki Suni Galion Main
Ek Betha Ho Ga Deewana
Jo Pyar Ka Paras Pathar Hai
Jo Tujh Ko Sona Ker De ga.!
Tere Joban Ko Woh Kia Jane?
Teri Umer Se Us Ka Kia Matlab?
Tere Jism Se Us Ka Kia Rishta?
Jisay Kehte Ho Tum Harjayi
Hai Tere Naam Ka wo Shedayi..
Wednesday, 26 January 2011
Tuesday, 25 January 2011
Qissa Abhi Hijaab Se - Urdu Ghazal
Qissa abhi hijab se aage nahi barha
Main aap, wo janaab se aage nahi barha
Muddat hue Kitaab-e-muhabbat shuru kiye
Lakin main pehle baab se aage nahi barha
Lambi musafaten hain magar is sawaar ka
Paaon abhi raqaab se aage nahi barha
Toul-e-Kalaam k lye main ne kiye sawaal
Wo mukhtasar jawaab se aage nahi barha
Dedaar abhi naqaab se aage nahi barha
Monday, 24 January 2011
Tere Ishq Ki Inteha Chahta Hon By Allama Iqbal
Tere ishq ki inteha chahta hon
Mere saadgi dekh kya chahta hon
Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi baat sabar aazma chahta hon
Ye jannat Mubarak rahe zahidon ko
K main aap ka saamna chahta hon
Koi dam ka mehmaan hon, ay ehel-e-mehfil
Chiragh-e-sehar hon bhuja chahta hon
Bhari bazm main raaz ki baat kehdi
Bara beadab hon, saza chahta hon
Kon Kehta Hai K Maut - Ahmed Naseem Qasmi Ghazal
Kon kehta hai k maut aaye to marjaonga
Main to darya hon, samandar main utar jaonga
Tera dar chor k main or kidher jaonga
Ghar main ghir jaonga, sehra main bikhar jaonga
Tere pehlu se jo uthonga to mushkil ye hai
Sirf ik shaks ko paonga jidher jaonga
Ab tere shehar main aonga, musafir ki tarah
Saya-e-Abar ki manind guzar jaonga
Charah sazon se alag hai mere mayaar k main
Zakhm khaonga to kuch or sanwar jaonga
Zindagi shamma ki manind jalata hon �Nadeem�
Bujh to jaonga magar subha to karjaonga
Beautiful Ashaar By Several Famous Urdu Poets
Several Poets
Syed Zameer Jafri
Arsa Hua Wo Zulf Pareshan Nahi Dekhi
Muddat Hue, Nazron Se Gulistan Nahi Guzre
Syed Abdul Hameed Adam
Tu Milta Hai Hamen Lakin Nehayat Ajnabiyat Se
Ise Ay Dost Tarz-e-Waqfiyat To Nahi Kehte
Syed Abdul Hameed Adam
Zara Aage Chaloge To Izafa Ilm Main Hoga
Muhabbat Pehle Pehle Be Zarar Mehsoos Hoti Hai
Faiz Ahmed Faiz
Qatal K Waqt Tarapne Pe Roth Gaya Qatil
Khoon Dora Hua Jaata Hai Manane K Lye
Faiz Ahmed Faiz
Gulon Main Rung Bhare Baad-e-Nau Bahaar Chale
Chale Bhi Aao K Gulshan Ka Karobaat Chale
Shad Amar Tisri
Yun Ja Raha Hon Jese, Na Aoonga Phir Kabhi
Mur Mur K Dekhti Hai Mere Rah Guzar Mujhay
Saif Ullah Saif
Fiza Ki Aahaton Per Kanpti Hain Pattiyan Gul Ki
Bikharne Ko Hai Ab Zulf-e-Baharaan, Hum Na Kehte The
Haider Qureshi
Murjha Chuke Hain Phool Teri Yaad K Magar
Mehsoos Ho Rahi Hai Ajab Taazgi Mujhay
Nadeem
Na Ye Taqdeer Ka Likha Tha Na Mansha-e-Khuda
Haadse Mujh Pe Jo Guzre Mere Halaat Main The
Subscribe to:
Posts (Atom)