Tuesday, 9 February 2010

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan

Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan
Jaisy Mahtab Ko Beant Samondar Chahy
Jaisy Soraj Ki Kiran Seep K Dil Me Utry
Jaisy Khushbo Ko Hawa Rang Se Hat Kar Chahy

Jaisy Pathar K Kalaijy Se Kiran Phootti He
Jaisy Ghunchy Khuly Mousam Se Hina Mangty Hein
Jaisy Khabon Me Kheyalon Ki Kaman Tootti He
Jaisy Barish Ki Dua Aabla Pa Mangty Hein

Mera Her Khab Mere Sach Ki Gawahi De Ga
Wosat E Deed Ne Tujh Se Teri Khahish Ki He
Meri Sochon Me Kabhi Dekh Sarapa Apna
Mein Ne Dunya Se Alag Teri Parastish Ki He

Khahish E Deed Ka Mousam Jo Kabhi Dhundla Howa
Noch Dali Hein Zamano Ki Naqabein Mein Ne
Teri Palkon Pe Otarti Hoi Sobhon K Liye
Torr Dali Hein Sitaroon Ki Tanabein Mein Ne

Mein Ne Chaha K Tere Husan Ki Gulnar Fiza
Meri Ghazalon Ki Qataron Se Dehakti Jaey
Mein Ne Chaha K Mere Fun K Gulistan Ki Bahar
Teri Ankhon K Gulabon Se Mehakti Jaey

Tey To Ye Tha K Sajata Rahy Lafzon K Kanwal
Mere Khamosh Kheyalon Me Takalum Tera
Raqs Karta Rahy Bharta Rahy Khushbo Ka Khumar
Meri Khahish K Jazeeron Me Tabasum Tera

Too Magar Ajnabi Mahool Ki Parwarda Kiran
Meri Bujhti Hoi Raton Ko Sehar Kar Na Saki
Teri Sanson Me Maseehai Thi Lekin Too Bhi
Chara E Zakham E Gham E Deeda E Tar Kar Na Saki

Tujh Ko Ehsas Hi Kab He K Kisi Dard Ka Dagh
Ankh Se Dil Me Utar Jaey To Kiya Hota He
Too K Seemab Tabiyat He Tujhy Keya Maloom
Mousam E Hijar Thehar Jaey To Keya Hota He

Tony Os Morr Pe Torra He Taluq K Jahan
Dekh Sakta Nahi Koi Bhi Palat Kar Janan
Ab Ye Aalam He K Ankhein Jo Khulein Gi Apni
Yad Aey Ga Teri Deed Ka Manzar Janan
Mujh Se Mangy Ga Tere Ohad E Mohabbat Ka Hisab
Tere Hijran Ka Dehakta Howa Mehshar Janan
You Mere Dil K Barabar Tera Ghum Aya He
Jaisy Sheeshy K Muqabil Koi Pathar Janan

Jaisy Mahtab Ko BeAnt Samondar Chahy
Mein Ne Is Tor Se Chaha Tujhy Aksar Janan


Click here for more classical poetry stuff

Sooch samajh lena qadam uthane se pehle.

Sooch samajh lena qadam uthane se pehle...
kahi kho na jao manzil ane se pehle...!
mukhlis dost se mehroom na ho jao kahi...!
ye sooch lena usse azmane se pehle...
apne daman ko phoolo se sajaye rakhna...
phool sare chun lena khazan ane se pehle...
tmhare seene bhi dharakta hai ek dil...
ye sooch lena kisi ka dil dhukane se pehle...
umer bhur koon kiss k liye rota hai aye dost...
Loog sirf ansoo bhahate han dafnane se pehle...


Click here for more classical poetry stuff

Sunday, 7 February 2010

Seene ma jalan aankhon ma toofaan sa kyun hai

Seene ma jalan aankhon ma toofaan sa kyun hai
Is shehar ma har shakhs pareishaan sa kyun hai

Dil hai to dhaRakne ka bahaana koi dhoonde
Pathar ki tarha be'his o be'jaan sa kyun hai

Tanhaaii ki ye kon si manzil hai rafeeqo
Ta had e nazar aik bayabaan sa kyun hai

Hum ne to koi baat nikaali nahi ghum ki
Woh zood e pasheimaan, pasheimaan sa kyun hai

Kya koi naii baat nazar aaii hai hum ma?
Aaeina humain daikh ke hairaan sa kyun hai


Click here for more classical poetry stuff

Kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai

Kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai
ham Khafaa rah ke bhii aapas mai milaa karate thai

itnii tahaziib rah-o-rasm to baaqii thii ki wo
laakh ranjish sahii vaadaa to vafaa karate thai

us ne puchha tha ka_ii baar magar kyaa kahiye
ham mizaajan hii pareshaan rahaa karate thai

Khatm thaa ham pe mohabbat ka tamaasha goya
ruuh aur jism ko har roz judaa karate thai

zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye
saaNs lene kii faqat rasm adaa karate thai

ham baras parhte thai '' apanii hii tanhaa_ii par
abr kii tarrha kisii dar se uThaa karate thai


Click here for more classical poetry stuff

Mujhay tum iss tarah sootay huay matt chor ker jana

Kaha tha na!
Mujhay tum iss tarah sootay huay matt chor ker jana
Mujhay bayshak jaga daina
Bata daina
Muhabbat ke safar main saath mairay chal nahin sakteeN
Judai main, hijar main saath mairay jal nahin sakteeN
Tumhain rasta badalna hai
Mairi hadd se nikalna hai
Tumhain kis baat ka derr tha
Tumhain jaanay nahin daita
Kahin per qaid ker laita
Array PAGLI!
Muhabbat kee tabiyat main zaberdasti nahin hoti!
Jissay rasta badalna ho
Ussay rasta badalnay se
Jissay hadd se nikalna ho
Ussay hadd se nikalnay se
Na koi rok paya hai
Na koi rok pai ga
Tumhain kiss baat ka darr tha
Mujahy baishak jaga daitay
Tumhain main daikh hee laita
Tumhain koi dua daita
Kam-az-kamm yuN tu na hota
Mairay Saathi! Haqeeqat hai
Tumharay baad khonnay ke Liya kuch bhee nahin baaqi
Mager khonnay se derta hoon
MAIN AB SONAY SE DERTA HOON


Click here for more classical poetry stuff

Kaho To Laut Jate Hain

Kaho To Laut Jate Hain
Abhi To Baat Lamhon Tak He, Salon Tak Nahi Aai
Abhi Muskanon Ki Nobat Bhi Nalon Tak Nahi Aai
Abhi To Koi Majborri Khiyalon Tak Nahi Aai
Abhi To Gard Peron Tak He. Balon Tak Nahi Aai
Kaho To Laut Jate Hain
Chalo Ek Faisla K7arne Shajar Ki Aut Jate Hain
Abhi Kajil Ki Dori Surkh Galon Tak Nahi Aai
Zuban Datoon Talak Hai Zehr Piyalon Tak Naheen Aai
Ibhi To Musk-E-Kustori Ghazaloon Tak Nahin Aai
Ibhi Rodad-E-Beunwan Humaray Darmian He, Duniyan Walloon Tak Nahin Aai
Kaho To Lout Jatan Han
Chalo Ik Faisala Karnay Sharjer Ki Out Jatan Han

Abhi Nazdeek Han Ghar A ur Manzil Door He Apni
Mubada Nar Ho Jayay Ye Hesti Noor Hai Apni
Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Ye Rasta Piyar Ka Rasta,
Rasan Ka Dar Ka Rasta,
Bohat Dushwar He Jana
Keh Is Rastay Ka Her Zarra Bhi Ik Kohsar He Jana.
Kaho To Lout Jatay Han
Chalo Ik Fasala Karnay Shajar Ki Out Jatan Han.
Maray Baray Na Kuch Socho
Mujhay To Sath Tumharay Amer Hounay Ki Hasrat He
Mujhay Tay Karna Ata He Rasan Ka Dar Ka Rasta
Ye Asaboon Bhara Rasta
Ye Andhi Ghar Ka Rasta
Tumhary Gaisooun Ki Chaoon Mil Jayay To Suraj Se Ulajhna Bat He Kia He
Udha Lo Apna Saya To Meri Ouqat Hi Kia He
Tumhara Narm O Nazuk Hath Mere Hath Man Ho To Me Ye Samjho
Ke Jasay Do Jahan Ho Mari Muthi Me
Tumhara Kurb Ho To Mushkilan Kafoor Ho Ja Yan
Ye Undhay Ur Kalay Rastay Pur Noor Ho Ja Yan.
Mujhe Maloom He Itna Keh Dayem Zandagi Posheeda He In Char Kadmoon Me
Bohat Si Ra-Hatan Muzmir Han In Dushwar Rastoon Man
Meray Baray Na Kuch Socho
Tum Apni Bat Batlaoo
Kahoo To Charltay Rahtay Han
Kahoo To Lout Jatay Han


Read More Classical Poetry Stuff

Saturday, 6 February 2010

Meri zat zara-e-by nishan

Meri zat zara-e-by nishan
main wo kis tarha sey karun bayan

jo kiye gaye hain sitama yahan
sunay kon meri ye dastan

koi hum nasheen hay na raz daan
jo tha jhoot wo bana sach yahan

nhi kholi main ney magar zuban
ye akela pan ye udasiyan,

meri zindagi ki hain tarjuman
meri zat zara-e- by nishan

main bataon mujhe kia milay
mujhe sabar hi ka sila milay

kis ghum ki dil main jaga milay
jo mera hay wo aa milay

rahay shad yunhi mera jahan
k yaqeen main badlay mara guman

meri zat zara-e- by nishan
main wo kis tarha sey karun bayan



Click Here For More Classical Poetry

Wo To Khushbu Hai Hawaon Main Bikhar Jayega

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega

ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar


By Parveen Shakir

Teri khushbu ka pata karti hai

Teri khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai

shab ki tanhai main ab to aksar
guftagu tujh se raha karti hai

dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai

zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne main raha karti hai

us ne dekha hi nahin warna ye ankh
dil ka ehwal kaha karti hai

beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai

sham parte hi kisi shakhs ki yad
kucha-e-jan main sada karti hai

mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
hal jo tera ana??? karti hai

dukh hua karta hai kuch aur bayan
bat kuch aur hua karti hai

abr barse to inayat us ki
shakh to sirf dua karti hai

masla jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karti hai


Click Here for more Parveen Shakir Poetry Collection

Sundar Komal Sapnon Ki Barat Guzar Gai Janan

Sundar Komal Sapnon Ki Barat Guzar Gai Jana

By Parveen Shakir


Sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan
dhup ankhon tak a pahunchi hai rat guzar gai janan

bhor samay tak jis ne hamain baham uljhaye rakha
wo albeli resham jaisi bat guzar gai janan

sada ki dekhi rat hamain is bar mili to chup k se
khali hath pe rakh k kya saugat guzar gai janan

kis konpal ki as main ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai janan

log na jane kin raton ki muraden manga karte hain
apni rat to wo jo tere sath guzar gai janan

Sabz madham roshani main surkh anchal ki dhanak

Sabz madham roshani main surkh anchal ki dhanak
sard kamre main machalti garm sanson ki mahak

bazuon k sakht halqe main koi nazuk badan
silwaten malbus par anchal bhi kuch dhalka hua

garmi-e-rukhsar se dahki hui thandi hawa
narm zulfon se mulayam ungliyon ki cher char

surkh honton par shararat k kisi lamhen ka aks
reshami bahon main churi ki kabhi madham dhanak

sharmagin lahjon main dhire se kabhi chahat ki bat
do dilon ki dhrkanon main gunjti thi ek sada

kanpte honton pe thi Allah se sirf ek dua
kash ye lamhe thahar jayen thahar jaye


Click Here to Read More
Parveen Shakir Poetry

Mushkil Hai Ab Shahar Main Nikle Koi Ghar Se

Mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se
dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse

is bar jo indhan k liye kat k gira hai
chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se

mehnat meri andhi se to mansub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

khud apne se milne ka to yara na tha mujh main
main bhir main gum ho gai tanhai k dar se

benam musafat hi muqaddar hai to kya gam
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se

pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye
ye shahar nikalta nahin jadu k asar se

nikle hain to raste main kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar ayega is rah-guzar se

By Parveen Shakir

Manzar Hai Wahi Thithak Rahi Hun

Manzar hai wahi thithak rahi hun
hairat se palak jhapak rahi hun

ye tu hai k mera waham hai
band ankhon se tujh ko tak rahi hun

jaise k kabhi na tha tarruf
yun milte hue jhijhak rahi hun

pahchan main teri roshani hun
aur teri palak palak rahi hun

kya chain mila hai sar jo us k
shanon pe rakhe sisak rahi hun

ik umr hui hai khud se larte
ander se tamam thak rahi hun



Classical Poetry of Parveen Shakir Click Here To Read More

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai

Musalsal bekali dil ko rahi hai
magar jine ki surat to rahi hai

main kyun phirta hun tanha mara mara
ye basti chain se kyon so rahi hai

chal dil se ummidon k musafir
ye nagari aj khali ho rahi hai

na samjho tum ise shor-e-baharan
khizan patton main chup k ro rahi hai

hamare ghar ki diwaron pe 'Nasir'
udasi bal khole so rahi hai


I have Marvelous Collection of Parveen Shakir's Poetry Click Here Get More Poetry of Parveen Shakir

Kuch Faisala To Ho K Kidhar Jana Chahiye

Kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le
aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye


Want to read more Parveen Shakir Poetry Click Here

Ku-ba-ku Phail Gai Bat Shanasai Ki

Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki

kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
bat to sach hai magar bat hai ruswai ki

wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya
bas yahi bat hai achi mere harjai ki

tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki

us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki


Want to read more Parveen Shakir Poetry Click Here

Khuli Ankhon Main Sapna Jagta Hai

"Khuli Ankhou Main Sapna Jagta Hai"

By Parveen Shakir


Khuli ankhon main sapna jagta hai
wo soya hai k kuch kuch jagta hai

teri chahat k bhige jangalon main
mera tan mor ban k nachata hai

mujhe har kaifiyat main kyon na samjhe
wo mere sab hawale janta hai

kisi k dhyan main duba hua dil
bahane se mujhe bhi talta hai

sarak ko chor kar chalna parega
k mere ghar ka kacha rasta hai


Click Here To Read More

Khulegi Is Nazar Pe Chashm-e-Tar Ahista Ahista

Khulegi is nazar pe chashm-e-tar ahista ahista
kiya jata hai pani main safar ahista ahista

koi zanjir phir wapas wahin par le k ati hai
kathin ho rah to chutata hai ghar ahista ahista

badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai
k thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista

khalish k sath is dil se na meri jan nikal jaye
khinche tir-e-shanasai magar ahista ahista

hua hai sarkashi main phul ka apna ziyan, dekha
so jhukta ja raha hai ab ye sar ahista ahista

meri shola mizaji ko wo jangal kaise ras aye
hawa bhi sans leti ho jidhar ahista ahista


Want To Read More Classical Poetry of Parveen Shakir CLick Here

Kamal-e-Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi

"Kamal-e-Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi"

By Parveen Shakir

Kamal-e-zabt ko khud bhi to Azmaungi
main apne hath se us ki dulhan sajaungi

supurd kar k use chandni k hathon
main apne ghar k andheron ko laut aungi

badan k karb ko wo bhi samajh na payega
main dil main roungi ankhon main muskuraungi

wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
main kis se ruth sakungi kise manaungi

wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi

bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi

ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
main kis ki nazm akele main gungunaungi

jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi

samaaton main ghane jangalon ki sansen hain
main ab kabhi teri awaz sun na paungi


Click Here If U Want Read More Classical Poetry of Parveen Shakir

Kariya-e-Jan Main Koi Phul Khilne Aye

Kariya-e-jan main koi phul khilne aye
wo mere dil pe naya zakhm lagane aye

mere wiran darichon main bhi khushbu jage
wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye

us se ik bar to ruthun main usi ki manind
aur meri tarah se wo mujh ko manane aye

isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain
wo kisi aur se milne k bahane aye

ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata
wo agar aye to kuch bhi na batane aye

zabt ki shahar-panahon ki mere malik khair
gam ka sailab agar mujh ko bahane aye


By Parveen Shakir

Justaju Khoye Huon Ki Umar Bhar Karte Rahe

"Justaju Khoye Huon Ki Umar Bhar Karte Rahe"

By Parveen Shakir

Justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe
chand k hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha ham ko na simton ki khabar
shahar-e-namalum ki chahat magar karte rahe

ham ne khud se bhi chupaya aur sare shahar se
tere jane ki khabar dar-o-diwar karte rahe

wo na ayega hamain malum tha us sham bhi
intazar us ka magar kuch soch kar karte rahe

aj aya hai hamain bhi un uranon ka khayal
jin ko tere zaum main be-bal-o-par karte rahe


Click Here To Read More Poetry of Parveen Shakir