Monday, 9 August 2010

[Classical Poetry] Ulfat Ke Fassanay Ki Naa Baat Karo Ham Say

Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se,

Is dil ko dukhaane ki na baat karo hum se,

Ik aur bhi hae armaan mehboob tumhein dekhoon,

Bekaar bahaane ki na baat karo hum se,

...

Ik chout lagi dil per ik aah ubhar aai,

Yeh zakhm chhupaane ki na baat karo hum se,



Jis dil mein basaaya tha woh torr diya tum ne,

Is ghar ko banaane ki na baat karo hum se,



Kis tarh katey jeewan ab chal na sakein tanha,

Yeh boujh uthaane ki na baat karo hum se,



Kuchh loug khafa haen to roothey hi rahein hum se,

Phir un ko manaane ki na baat karo hum se,



Kyoon lout ke aaey ho jab toot gaya bandhan,

Ab baat barrhaane ki na baat karo hum se....



Click Here And Read More Classical Poetry

No comments:

Post a Comment