Aap apna aap mujhe di jiye ga
aur kuch bhi na mujh se li jiye ga
Ab be misal, be misaal huun main
mujh siwa aap kis pe rijhiye ga
aap jo hain azal se be naam
naam mera kabhi to li jiye ga
aap mujh mein hi to hain so aap
mera be had khayal ki jiye ga
intezaari huun main apna din raat
ab mujhe aap bhaij di jiye ga
aap mujh ko buhat pasand aayein
aap meri qameez si jiye ga
mere jism o jaan ka hai maazi kia
bus mujh se yeh na poochiye ga
main jo huun jon elia huun janab
is ka be had lehaaz ki jiye ga
John Elia Poetry
aur kuch bhi na mujh se li jiye ga
Ab be misal, be misaal huun main
mujh siwa aap kis pe rijhiye ga
aap jo hain azal se be naam
naam mera kabhi to li jiye ga
aap mujh mein hi to hain so aap
mera be had khayal ki jiye ga
intezaari huun main apna din raat
ab mujhe aap bhaij di jiye ga
aap mujh ko buhat pasand aayein
aap meri qameez si jiye ga
mere jism o jaan ka hai maazi kia
bus mujh se yeh na poochiye ga
main jo huun jon elia huun janab
is ka be had lehaaz ki jiye ga
John Elia Poetry
No comments:
Post a Comment