Sunday, 12 June 2016

Friday, 10 June 2016

Wednesday, 8 June 2016

Pehle Tujh Ko Tamanna Meri Thi

Pehle Tujh Ko Tamanna Meri Thi
Aur Mujh Ko Tamanna Teri

Aur Ab Tujh Ko Tamanna Kisi Aur Ki Hai
Ja Ab Teri Tamanna Kary Koi...

Submitted By: Iqra Farhad

Tuesday, 7 June 2016

Monday, 6 June 2016

Dil Me Phir Se Khushiyon Ka Paigham Aya

Dil Me Phir Se Khushiyon Ka Paigham Aya Hai
Mubarik Ho Momino Phir Se Ramadan Aya Hai...

Ramzan Mubarik To All Muslims In The World

Blogger: Waqas Ali

Dil Me Phir Se

Sunday, 5 June 2016

Baharon K Qafily Ko Kuch Der Rok Lo

Baharon K Qafily Ko Kuch Der Rok Lo
Aty Hain Hum Bhi Pairon Se Kanty Nikal Kar...

Submitted By: Meer Murtaza

Saturday, 4 June 2016

Thursday, 2 June 2016

Ajeeb Kashmakash Si Rehti Hai Mere Dil Me

Ajeeb Kashmakash Si Rehti Hai Mere Dil Me Fajar K Waqt
Ankhen Kholun To Sanam Jaye Jo Na Kholun To Khuda...

Submitted By: Muhammad Zunnoorain

Meri Yad Bhi Qayamat Jesi Hai

Meri Yad Bhi Qayamat Jesi Hai
Ek Din Aye Gi Zaroor...

Submitted By: Asad Raza

Meri Yad Bhi

Tuesday, 31 May 2016

Sunday, 29 May 2016

Kabhi Razi To Kabhi Mujhse Khafa Lagti

Kabhi Razi To Kabhi Mujhse Khafa Lagti Hai
Bata Aye Zindagi Tu Meri Kya Lagti Hai...

Submitted By: Ayaz Hussain

Friday, 27 May 2016

Thursday, 26 May 2016

Bari Hi Tarteeb Se Mujh Ko Kafir Banaya Gaya

Bari Hi Tarteeb Se Mujh Ko Kafir Banaya Gaya
Aadmi Ko Khuda Bana Kar Mere Samny Laya Gaya

Jab Bhi Puchne Gaya Me Apne Junoon Ka Elaj
Be-Rehmi Se Mujh Ko Kitabon Me Phasaya Gaya

Chand Logon Ki Bat Na Man'ny Par
Mere Hi Samny Mujh Ko Jalaya Gaya

Teri Rehmaton Ki Misaal Such Me Nahi
Kaaba Torne Wala Bhi Kabay Me Paya Gaya

Khatam Hui Talash Apne Dushman Ko Dhundne Ki
Kal Jab Mujhe 'Abbas' Aina Dikhaya Gaya...

Blogger: Waqas Ali

Sunday, 22 May 2016

Wo Lehje Bhi Badal Gaye Wo Rawaiye Bhi

Wo Lehje Bhi Badal Gaye Wo Rawaiye Bhi Badal Gaye
Jese Jese Duniya Badalti Gai Wese Wese Log Badalte Gaye...

Submitted By: Enaya Choudhary

Quwat-e-Ishq Se Har Past Ko Baala Kar De

Quwat-e-Ishq Se Har Past Ko Baala Kar De
Dahar Me Ism-e-Muhammad (S.A.W.W) Se Ujala Kar De...

Quwat-e-Ishq Se

Jo Pukarta Tha Har Ghari Jo Jura Tha Mujhse

Jo Pukarta Tha Har Ghari, Jo Jura Tha Mujhse Lari Lari
Koi Aisa Shakhs Agar Kabhi, Mujhe Bhool Jaye To Kya Krun...

Jo Pukarta Tha

Monday, 16 May 2016

Koi Dikha K Roye Koi Chupa K Roye

Koi Dikha K Roye Koi Chupa K Roye
Humain Rulane Wale Hum Ko Rula K Roye
Marne Ka Maza To Tab Hai Sagar
Jab Qaatil Bhi Maiyyat Utha K Roye...

Submitted By: Sagar Nawaz

Koi Dikha K

Wo Roya To Zaroor Hoga Khali Kaghaz Dekh

Wo Roya To Zaroor Hoga Khali Kaghaz Dekh Kar
Zindagi Kese Beet Rahi Hai Pucha Tha Sawal Us Ne...

Submitted By: Tanha Arman

Maa Urdu Poetry in Urdu Fonts


?? ??? ???? ?????? ?? ?? ??? ???? ??

??? ??? ??? ??? ???? ?? ?? ?? ???? ??

Ek Taveel Arsy K Bad

Ek Taveel Arsy K Bad
Hansi Ai Bhi To Apne Hi Hal Par...

Ek Taveel Arsy

Sunday, 15 May 2016

Us K Nazdeek Gham-e-Tark-e-Wafa Kuch Bhi

Us K Nazdeek Gham-e-Tark-e-Wafa Kuch Bhi Nahi
Mutma-in Aise Hai Jese Hua Hi Kuch Bhi Nahi
Ab To Hathon Ki Lakerain Hi Miti Jati Hain
Us Ko Kho Kar To Mere Pas Raha Hi Kuch Nahi...

Submitted By: Atif  Noor

Friday, 13 May 2016

Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai

Dil Hijr K Dard Se Bojhal Hai
Ab Aan Milo To Behtar Hai
Is Bat Se Hum Ko Kya Matlab
Ye Kese Ho Ye Kiun Kar Ho...

Submitted By: Pervaiz Abbas

Thursday, 12 May 2016

Tuesday, 10 May 2016

Me Ye Soch Kar Bhi Tum Se Mohabbat Karta

Me Ye Soch Kar Bhi Tum Se Mohabbat Karta Hun
Mera To Koi Hai Nahi Tumhara To Koi Ho...

Submitted By: Naqash Rehman

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain

Us Marhaly Ko Mout Bhi Kehte Hain Dosto
Ek Pal Me Toot Jaen Jahan Umer Bhar K Sath...

Us Marhaly Ko

Samny Manzil Thi Aur Piche Uski Awaz

Samny Manzil Thi Aur Piche Uski Awaz
Rukta To Safar Jata, Chalta To Bichar Jata

Maykhana Bhi Usi Ka Tha, Mehfil Bhi Uski Thi
Agr Peeta To Emaan Jata, Na Peeta To Sanam Jata

Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par
Chupata To Jigar Jata, Sunata To Bikhar Jata...

Samny Manzil Thi

Sunday, 8 May 2016

Ghar Main Ek Ann-Parh Burhi

Ghar Main Ek Ann-Parh Burhi
Mera Dil Parh Leti Hai...

Ghar Main Ek

Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa

Qabar Ki Aghosh Me Thak Kar So Jati Hai Maa
Tab Kahin Ja K Thora Sukoon Pati Hai Maa

Fikar Me Bachon Ki Kuch Is Tarha Ghul Jati Hai Maa
Naujawan Hote Hue Bhi Burhi Nazar Ati Hai Maa

Rooh K Jazbon Ki Ye Gehraiyan To Dekhiye
Chaut Hum Ko Lagti Hai Aur Chillati Hai Maa

Chahe Hum Khushiyon Me Maa Ko Apni Bhool Jaen Lekin
Jab Museebat Sir Pe Aye To Yaad Ati Hai Maa

Shukriya Ho Hi Nahi Sakta Kabhi Us Ka Adaa
Marte Marte Bhi Dua Jeeny Ki De Jati Hai Maa

Pyar Kehte Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hai
Ye To Un Bachon Se Pucho Jin Ki Mar Jati Hai Maa...

Qabar Ki Aghosh

Saturday, 7 May 2016

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge

Bano Ge Hum Se Rehem K Taalib
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Adaa K Qissay Hue Purany
Jafa Ka Mosam Khatam Hi Samjho

Karenge Tum Se Hisaab Jana
Na Tum Ko Mohlat Mazeed Denge

Wafa Ki Lalach Me Hum Ne Jana
Khoon Apna Jala Diya Hai

Faraib-o-Masti K Badlay Tum Ko
Saza Bhi Sun Lo Shadeed Denge

Abhi Urooj Par Hai Tumhara Mosam
Khizaan Me Tum Ko Khareed Lenge...

Abhi Urooj Par

Main To Is Wasty Chup Hun K Tamasha Na

Main To Is Wasty Chup Hun K Tamasha Na Bany
Tu Samajhta Hai Mujhe Tujh Se Gila Kuch Bhi Nahi...

Main To Is Wasty

Wednesday, 4 May 2016

Khamoshiyan Yad e Yar Ye Zalim Log Aur Me

Khamoshiyan, Yad-e-Yar, Ye Zalim Log Aur Me Akela
Muskura Deta Hun Bali Jab Buss Nahi Chalta...

Submitted By: Bilal Khan

Kitne Nazuk Hain Mere Hont Kiun In Ko Yoon

Kitne Nazuk Hain Mere Hont, Kiun In Ko Yoon Masal Dete Ho
Ye Phoolon Jese Hain Par Phool To Nahi Hain...

Submitted By: Sajida Nasir

Kitne Nazuk Hain

Monday, 2 May 2016

Wednesday, 27 April 2016

Saturday, 23 April 2016

Ye Kon Log Andhairon Ki Bat Karte Hain

Ye Kon Log Andhairon Ki Bat Karte Hain
Abhi To Chand Teri Yad K Dhale Bhi Nahi...

Ye Kon Log

Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese

Mere Dil Ko Aate Hain Khayal Kese Kese
Jane Wala De Gaya Hai Sawaal Kese Kese

Meri Manzil Ki Jaanib Koi Rahguzar Hi Nahi
Taqdeer Bunn Rahi Hai Ab K Jaal Kese Kese

Kabhi K Din Bary Kabhi Ki Raatain
Zindagi Ne Guzaar Diye Maah-o-Saal Kese Kese

Lamha Lamha Khamosh Rehna Lamha Lamha Udaas
Hum Ne Paal Liye Hain Wabaal Kese Kese

Humy To Pyar Faqat Us Ek Chehray Se Tha
Wagarna Dekhne Ko Hain Husn-o-Jamaal Kese Kese

Khamoshi Kisi Sawal Ka Jawab Kya Ho Akaash
Khamoshi Khud Paida Karti Hai Sawaal Kese Kese...

Submitted By: Arshad Raja

Thursday, 21 April 2016

Aankh Pur-num Ashq Zam Zam

Aankh Pur-num, Ashq Zam Zam
Sans Madham, Waqt Hai Kam

Wasl Rahat, Hijr Matam
Aah Nikle, Mout Marham...

Submitted By: Haris Rasool

Nend Se Jaag Kr Idhar Udhar Dhundta Hun Main

Nend Se Jaag Kr Idhar Udhar Dhundta Hun Main
Q Khawbon Me Mere Itne Qareeb Chali Ati Ho Tum...

Blogger: Waqas Ali

Sunday, 10 April 2016

Bewafaon Ki Mehfil Lage Gi Aj

Bewafaon Ki Mehfil Lage Gi Aj
Waqt Par Ana Mehman-e-Khas Tum Ho...

Submitted By: Farman Khan

Main Lakh Mohtaram Hua Magar Dhundta Raha

Main Lakh Mohtaram Hua Magar Dhundta Raha
Wo Lazzat Jo Tere Sheher Ki Ruswaiyon Main Thi...

Submitted By: Sarfraz Khan

Saturday, 2 April 2016

Friday, 1 April 2016

Thursday, 31 March 2016