Saturday, 26 February 2011

Ranjha Ranjha Kardi By Baba Bulleh Shah

Ejaaz Hai Kis Ka Ye - Allama Muhammed Iqbal


Ejaaz hai kis ka ye gardish-e-zamana
Toota hai asia main ye sehar-e-firangana

Tameer aashiyan se main ne ye raaz paya
Ehel-e-nawa k haq main bijli hai aashiyana

Ye bandag Khudaye, wo bandage gadaye
Ya banda-e-Khuda ban, Ya banda-e-zamana

Ghafil na ho khudi se kar apni paasbani
Shayad kisi haram ka tub hi hai aastana

Ay La Illaa K waris, baqi nahi hai tujh main
Guftaar dilbarana, kirdaar kahiraana

Tere nigah se dil senon main kaanpte the
Khoya gaya hai tera jazba-e-qalandarana

Raaz-e-haram se shayad �Iqbal� ba khabar hai
Hain is ki guftugu k andaaz muhrimaana

Zulm Seh Kar Bhi Samjhta Hon - Mohsin Naqvi Shayari


Zulm seh kar bhi samjhta hon k tu mera hai
Mere dushman tere chehre pe lahoo mera hai

Subha dam shehar ki shorish tere dam se hogi
Raat k pichle pehar aalam hoo mera hai

Mere hathon main chupe zakham se pehchan mujhay
Tere daman pe bhi ahsaan rafoo mera hai

Ghir gaya hon main talatum main bhi zindaan ki tarah
Halka-e-mauj rawan touq-e-gulo mera hai

Itni shohrat bhi kahan chahi thi khud se main ne
Apne hi shehar ka har shaks adu hai mera

Dhoop chaaon ki ye rut dil main tehar jane de
Aks tera hai to saaya lab jo mera hai

Patharon se muhabbat mujhay yun bhi hai �Mohsin�
Sangdil shehar main ik aayena ru mera hai

Wo Mera Khayal Thi - John Elia Urdu Poetry Sher


Wo mera khayal thi, so wo thi
Main us ka khayal tha so main tha
Ab dono khayal mar chuke hain

Zamane Bhar Ki Nighahon Se Jo - Poetry Of Mohsin Naqvi


Zamane bhar ki nigahon se jo Khuda sa lage
Wo ajnabi hai magar mujh ko aashna sa lage

Najane kab meri dunya main muskuraye ga
Wo shaks k khuabon main bhi khafa sa lage

Ajeeb cheez hai yaro ye manzilon ki hawis
K rahzan bhi musafir ko rehnuma sa lage

Dil tabah tera mashwara hai kya k mujhay
Wo phool rung sitara bhi bewafa sa lage

Huwi hai jis se mun�nawar hai aik ankh ki jheel
Wo chand aaj bhi �Mohsin� ko kam numa sa lage

Tuesday, 22 February 2011

Yun Aanso Na Bahao - Shayari-e-Dard


Yun aanso na bahao k abhi umer pari hai
Gham apna na chupao k abhi umer pari hai

Sar-e-shaam kyun pete ho tanhaiyun k dar se
Zara mekhane se nikal aao k abhi umer pari hai

Mere qatil se hai milna to zara aayene main dekho
Phir yun chehra na chupao k abhi umer pari hai

Kheera karti hain nigahon ko wo roshan aankhen
Jalte suraj ko bhujao k abhi umer pari hai

Poet: Shabeeb Hashmi

Deta Rehta Hai Koi - Love Urdu Poetry


love urdu poetry

Sunday, 20 February 2011

Urdu Nazam - Hawa Thami Thi Zaror Lakin


Hawa Thami Thi Zaroor Lekin,
Wo Shaam Jesy Sisak Rahi Thi
K Zard Patton Ko Aandhiyun Ne Ajeeb Qissa Suna Dia Tha
K Jis Ko Sun Kar Tamam Pattay
Sisak Rahe The
Bilak Rahe The
Janae Kis Sanehe K Ghum Main
Shajar Jaron Se Ukhar Chuke The
Bohat Talasha Tha Hum Ne Tumko
Har Aik Rasta, Har Aik Waadi
Har Aik Parbat, Har Aik Ghaati
Kahin Se Teri Khabar Na Ayi
To Ye Keh K Hum Ne Dil Ko Tala
Hawa Thame Gi To Dekh Lain Ge
Hum Us K Raston Ko Dhoond Lain Ge
Magar Hamari Ye Khush Khayali
Jo Hum Ko Barbaad Kar Gaye Thi
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud'dat Guzar Chuki Thi
Hamare Balon K Jungalon Main
Safaid Chandi Utar Chuki Thi
Falak Pe Taray Nahi Rah The
Gulaab Pyare Nahi Rahe The
Wo Jin Se Basti Thi Dil Ki Basti
Wo Loog Saare Nahi Rahe The
Ye Almiya Sab Se Baalatar Tha
K Hum Tumhare Nahi Rahe The
K Tum Hamare Nahi Rahy the
Hawa Thami Thi Zaroor Lekin
Bari Hi Mud'dat Guzar Chuki Thi

Chand K Sath Jagti Ankhen - Urdu Shayari In Urdu By Mussart Anjum

Mussart Anjum

mussarat anjum urdu ghazal


Friday, 18 February 2011

Welcome - Ghazal By Wasi Shah


urdu shayari wasi Shah

The Last Call Urdu Ghazal By Wasi Shah


Last Call

wasi shah poetry

Ye Na Thi Hamari Qismat - Mirza Ghalib


Ye na thi hamari qismat, k visaal-e-yaar hota 
Agar aur jeete rehte, yehi intezaar hota 

Tere waade par jeye hum, to ye jaan jhoot jana 
K khushi say mar na jaate, agar aitbaar hota 
 
Rug-e-sung say tapakta, wo lahoo k phir na thumta 
Jese ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota 
 
Kahoon kiss se main ke kya hai, shab-e-ghum buri bala hai 
Mujhay kya bura tha marna, agar aik baar hota 
 
Huwe mar k hum jo rusva, huwe kyun na gharq-e-darya 
Na kabhi janaza uth�ta, na kahin mazaar hota 

Ye masail-e-tasav�vuf, ye tera bayan �Ghalib� 
Tujhay hum wali samajhte, jo na baada khuwar hota

Ek Baar Jo Mil Jaye Dubara Nahi Milta


Ik baar jo milta hai dubara nahi milta
Itni bari dunya main koi hamara nahi milta

Kis ko banayen apni zindagi ka hamsafar
Hum ko kahin se ishara nahi milta

Har rooz naye naye loog milte hain
Magar koi bhi jaan se piyara nahi milta

Gham k bhanwar main aise phasi hai naao
Pareshan hai is kadar k kinara nahi milta

Muddat k baad tere gali main aaye hain
Ab kis se pochen k tumhara ghar nahi milta

Poet : Muhammed Asghar

Ye Jo Berukhi Hai Baja Nahi Urdu Poetry Sms


Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi,Ye Adayen Kyon,Ye Ghuroor Kya?
Ye Guraiz Kis Liye Is Qadar,Ye Khafa Khafa Se Huzoor Kya?

Tjhe Yad Krna Mzaaq Tha,Tjhe Bhool Jana Azab Hai
Ye Saza Hai Jurm-e-Firaaq Ki, Mere Hafzey Ka Qasoor Kya?

Tere Saath Hai Jo Teri Ana,Mere Saath Mera Naseeb Hy
Mujhe Tujh Se Kesi Shikaytein,Tujhe Khud Pe Itna Ghuroor Kya?

Ye Tmhara Chehra Kitab Hai,Isy Parh Raha Hun Main Warq Warq
Zara Baat Saada Likha Karo,Ye Muhawron Ki Satoor Kya?

Saharon Choot Jate Ho - Romantic Urdu Shayari


Saharon choot jate ho to kuch acha nahi lagta
Kinaron roth jate ho to kuch acha nahi lagta

Baharon se ladhe pholon, tumhe to zindagani ho
Magar jab sokh jate ho to kuch acha nahi lagta

Ay mere dil tumhari har ada sar ankhon pe mere
Magar jab toot jate ho to kuch acha nahi lagta

Mujhay mujh se churate ho to sab kuch khuab lagta hai
Magar jab roth jate ho to kuch acha nahi lagta

Tum aate ho to har lamha tumhare husn main doobe
Magar jab laut jate ho to kuch acha nahi lagta

Tumhara hi yaqeen mujh ko shaoor-e-zindagi bakhshe
Kabhi tum dagmagate ho to kuch acha nahi lagta

Mere lafzon main rehte ho to lamhe jhoom jate hain
Kisi k geet gate ho to kuch acha nahi lagta

Neelgun Fizaon Main - Urdu Nazam


Neelgun fizao�on main
Shor hai bapa dil main
Shid�daton k mosam ki
Chahaten siwa dila main
Habs hai bhara dil main
Mian udaas galiyun ki
Ek udaas baasi hon
Badalon k parde se
Wehmon ko dhakti hon
Khusbuyen gulabon k jism se nikalti hain
Roshni ki umedain koylon per jalti hain
Phir bahaar aane se pehle toot jaati hain
Choriyan bhi hathon main toot photo jati hain
Jism k shagofon mian rung chor jaati hain
Bus sunhere lehje ki
roshni hai lau jesi
Hont se pare dil main
Kaam ki dua aise
Kis ko ye khabar lakin
Is sunehre lehje main
Khare khare paani sa
Badgumaniyun se pur
Zehar aisa ghul jaye
Jis se aik dam sara
Sunhera lehja dhul jaye

Wednesday, 16 February 2011

Aj Tajdeed-e-Wafa Ka Din Hai - Romentic Ghazal


Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo�on ki baqa ka din hai
Tang nazron ki baat kya kejiye
Murda zehnon ki baat kya kejiye
In ko pholon se ber hai shayad
Aise kanton ki baat kya kejiye
Aaj dunya k sab bakheron se
Aaj zindan k sab andheron se
Chal zara door ja kar dekhte hain
Sab apne gham bhula kar dekhte hain
Bohat in zulmaton main reh chuke hum
Bohat in silsilon ko seh chuke hum
Ab k zakhmon ko see k dekhte hain
Kaif ka jaam pe k dekhte hain
In bakheron main bohat jee liya hai
Apni khatir bhi jee k dekhte hain
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo�on ki baqa ka din hai
Kitne kache garhe yahan toote
Kitne hi �Ranjhon� k gahr choote
Kitne hi �Qais� rule sehra main
Kitne hi kohkanon k sar phote
Kaye �Zulekhayen� huye hai benaam
Kaye �Yousuf� sar-e-bazaar bike
Iski rahon ki ajab peeta hai
Qalam likhte hue sisakta hai
Kaye �Mansoor� daar per latke
Kaye jazbe hazaar baar bike
Kisi ne taaj mehal banwaya
Kisi ne saltanaten thukradeen
Kisi ne zindagi tabah karli
Kisi ne maut se wafa karli
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo�on ki baqa ka din hai
Rah-e-ulfat ki saari dastanen
Aaj kehti hain roh-e-insaani
Is zamane k tape sehra main
Apne hisse k phool bo k jiyo
Har taraf wehshaten hain, dehshat hai
Har taraf uljhanen hain nafrat hai
Magar is arsa-e-mehshar main logon
Kya zarori hai sabhi ro k jiyo?
Zindagi k haseen bhi rukh hain
In rukhon main nazar simo k jiyo
Kisi ki khushiyun ko mehsoos karo
Kisi ko apna karo kisi k ho k jiyo
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Arzo�on ki baqa ka din hai
Gulaab jazbon k talatum main
Mauj khate hue paani ki tarah
Raqs karti hue hawayen hain
Mehki mehki hue fizayen hain
Saaz ki mast rawani ki tarah
Aawaan-e-shadmaan hawaon ko
Zindagi se bhari adaon ko
Apne ehsaas ko sahara dain
Apne jazbaat ko kinara dain
Aaj tajdeed-e-wafa ka din hai
Surkh pholon ki baqa ka din hai

Poet : Muhammad Nawaz

Sunday, 13 February 2011

Ik Share



????? ???? ???? ?? ???, ?? ?? ??? ????
??? ??? ??? ?? ????? , ????? ?? ?? ????? ??

Koi Dhudla Sa Ek Chehra - Ghazal


Koi dhunla sa ik chehra mere ankhon main rehta hai
Koi bhatka sa ik jugno mere khuabon main rehta hai

Aik manoos se awaaz mujhay sone nahi deti
Koi uljha sa ik jumla mere baton main rehta hai

Hai kis k shabnami anchal ki khusbu ab talak mujh main
Koi ehsaas mehka sa mere sanson main rehta hai

Mujhay khud per nahi kabu na main kuch bol sakta hon
Asar ye kis k lafzon ka mere baton main rehta hai

February ki khushk raten mujhay beechen rakhti hain
Lams ik hath ka ab tak mere sochon main rehta hai

Hia dil bhi muztarib ehsaas bhi sochon ki uljhan bhi
Yeh kis ki ankh ka aasnso mere ankhon main rehta hai

Tum Jo Hote - Sad Urdu Poetry


Tum jo hote to mujhay kitna sahara hota
Main ne auron ko na dukh mian pukara hota

Jitni shiddat se wabasta tha main tujh se
Kis tarh mera, tere bagher guzara hota

Mujh ko ye soch hi kafi hai jalane k lye
Main na hota to koi or tumhara hota

Or hum beth k khamoshi se rote rehte
Shaam hoti, sharaab hoti, dariya ka kinara hota

Kis Kadar Anokha Hai Rabta By Wasi Shah


Kiss kadar anokha hai raabta muhabbat ka
Kab na janay ho jaye moujza muhabbat ka

Apni zaat se bhi wo ajnabi sa lagta hai
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka

Wo chala hi jata hai jis ne jana hota hai
Lakh do chahe usko waasta muhabbat ka

Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta
Jab kisi se chin jaye hosla muhabbat ka

Doston se 'WASI' agar tumhain muhabbat hai
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka

Saturday, 12 February 2011

Ruki Hue Hai Abhi Tak- Urdu Ghazal By Parween Shakir


Ruki hue hai abhi tak bahaar ankhon main
Shab-e-wisaal ka jese khumaar ankhon main

Mita sake gi isse gard-e-mah-o-saal kahan
Khinchi hue hai jo tasweer-e-yaar ankhon main

Bus ik shab ki musafat thi or ab tak hai
Ma-o-najoom ka saara ghubaar ankhon main

Hazaar sahib raksh saba mizaaj aaye
Basa hua hai wohi she sawaar ankhon main

Wo aik tha pe is ko jab tahe talwaar
To bat gaya wohi chehra hazaar ankhon main

Zulm K Hathon -Sad Poetry By Parween Shakir


Zulm k hathon aziyat main hai jis tarah hayaat
Aisa lagta hai k ab hasher hai kuch dair ki baat

Roz ik dost k marne ki khabar aati hai
Roz ik qatal pe jis tarah k mamoor ki baat

Khema-e-gher se mangwaye hue ye mukhbar
Ran pare ga to ghari bhar ko na de payen ge sath

Kis tarah jaan sake tayerak no aamooz
Kon hai jaal khusha kon lagaye hue ghaat

Aastenon main chupaye hue har ik khanjar
Or guftaar ki babat main hain sab kand o nabaat

Thursday, 10 February 2011

Romantic Urdu Poetry By Sahir Ludhyanvi


Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hia
K jese tujh ko banaya gaya hai mere lye

Tu ab se pehle sitaron mian bas rahi thi kahin
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai mere lye

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai
K ye badalti nigahen mere amanat hain

Ye geso�on ki ghani chaon hain mere khatir
Ye hont or ye banhen mere amanat hain

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

K jese bajti hai shehnaiyan se rahon main
Suhaag raat hai ghonghat utha raha hon main

Simat rahi hai tu sharma k apni bahon main
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

K jese tu mujhay chahe gi umer bhar yun hi
K lute gi mere taraf pyar ki nazar yun hi

Main janta hon tug her hai magar yun hi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

Main Pal Do Pal Ka Shayar Hon - Urdu Shayari By Sahir Ludhyanwi


Main pal do pal ka shayar hon
Pal do pal mere kahani hai
Pal do pal mere hasti hai
Pal do pal mere jawani hai
Mujh se pehle kitne shayar
Aaye or aakar chale gaye
Kuch aahen bhar k laut gaye
Kuch naghme ga kar chale gaye
Wo bhi ik pal ka kissa the
Main bhi ik pal ka kissa hon
Kal tum se juda hojaonga
Jo aaj tumhara hissa hon
Kal or aayen ge naghmon ki
Khilti kaliyan chun�ne wale
Mujh se behtar kehne wale
Tum se behtar sun�ne wale
Kal mujh ko koi yaad kare
Kyun mujh ko koi yaad kare
Masroof zamana mere lye
Kyun apna waqt barbaad kare
Main pal do pal ka shayar hon
Pal do pal mere jawani hai