Sunday, 30 May 2010

Ji hei ji mein woh jal rahi hogi,

Ji hei ji mein woh jal rahi hogi
By John Elia


Ji hei ji mein woh jal rahi hogi,

chandni mein tahel rahi hogi.

chand ne taan li hai chadar-e-abr
ab woh kapre badal rahi hogi.

surkh aur sabz waadion ki taraf
woh mere saath chal rahi hogi .

charhte charhte kisi pahari per
ab woh karwat badal rahi hogi

perh ki chaal se ragarh kha kar
woh tane se phisal rahi hogi

ho k woh khawab-e-aish se bedaar
kitni hei dair shal rahi hogi.

Bohat dil ko kushada kar lia kia?

John Elia Poetry: Buhat Dil Ko Kushada Kar Lia Kia?



Bohat dil ko kushada kar lia kia?
zamaney bhar se waada kar lia kia?

Tu kia sach much judayi mujhse kar li?
Tu khud apney ko aadha kar lia kia..?

Hunar mandi se apney dil ka safha...
Meri jaan, tum ne saada kar lia kia?

Bohat nazdeek aatey ja rahey ho..
Bicharney ka irada kar lia kia..??



John Elia Poetry

John Elia Poetry

John Elia Poetry: Mer chuka hai dil, mager zinda hoon


Mer chuka hai dil, mager zinda hoon

zeher jaisi kuch dawaein chahyein..

poochti hain aap, aap ache to hain..
jee main acha hoon,duaein chahyein




Thik hey,khud ko hum badaltey hein

Click Here to read more John Elia Poetry


Thik hey,khud ko hum badaltey hein

Shukria mashwarey ka, chaltey hein

Ho raha hon mein kis tarah barbaad
Dekhney waley haath maltey hein..

Hey woh jaan ab har ek mehfil ki...
Hum bhi ab ghar se kam nikaltey hein

Kia takalluf karen yeh kehney mein
Jo bhi khush hey,hum uss se jaltey hein

Tum bano rung,tum bano khushboo....
Hum tu apney sukhan mein dhaltey hein

Hey ajab faisley ka sehra bhi......
Chal na parye tu paaon jaltey hein


Eh pehum talkh klami si rahi kia

Eh pehum talkh klami si rahi kia
mohabt zeher kha ker ai thi kia ?

muje ab tm se der lagne laga hai
tmhein muj se mohabt ho gai kia?

shikast-e-aetmad-e-zaat k waqt..
qayyamat aa rahi thi, aa gai kia..?

muje shikwa nahi,bus pochna hai
ye tm hansti ho apni hi hansi kia?

humein shikwa nahi aik dosre se...
manana chahie is per khushi kia...?

pade hain ik goshe main guma'n k
bhala hum kia,humari zindagi kia..?

main ab her shakhs se ukta chuka ho
fakt kuch dost hain ,or dost bhi kia..?



Guzashta ehd guzarney main he nahi ata

John Elia Poetry: Guzashta ehd guzarney main he nahi ata



Guzashta ehd guzarney main he nahi ata
ye hadisa bhi likho mojzoo k khaney main

jo rud howay they is jahan main kai saal pehley
wo log hum pay musalat hain is zamaney main



Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana

Poetry By: Allama Iqbal

Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana

Wo baagh ki baharain wo sab ka chehchahana

Azaadian kahan wo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana,apni khushi se jana

Lagti hay chot DIL per,aata hay yaad jis dam
Shabnam k aansuon per kallion ka muskurana

Wo pyarai pyari soorat,wo kaamni si moorat
Abaad jis k dam se tha mera aashiana

Aati nahi sadain us ki meray qafas main
Hoti meri rihai kaash meray bas main!

Kia badnaseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi to hay watan main ,main qaid main para hoon

Aai bahaar,kallian phoolon ki hans rahi hain
Main iss andheray ghar main kismat ko ro raha hoon

Iss qaid ka ilaahi! dukhra kisay sunaon
Dar hay yahin qafas main main gham se na mar jaon

Jab se chaman chuta hay,ye haal ho gaya hay
Dil gham ko kha raha hay,DIL gham ko kha raha hay

Gana isay samajh ker khush hon na sunnay walay
Dukhtay huay DIL ki faryad pe sada hay

Azaad mujh ko ker day, O qaid kernay walay
Main bay zuban hoon qaidi,tu chor ker dua lay.


Read More Poetry of Allama Iqbal Click Here

Khuda Say Husan Nay Aik Roz Yeh Sawal Kia

Khuda Say Husan Nay Aik Roz Yeh Sawal Kia
By: Allama Iqbal


Khuda sai Husan nay eik roz yeh sawal kiya

Jahan main kiyon nah mujhay tu nay lazawal kiya

Mila jawab kai tasveer khana hai duniya
Sab-e-daraz-e-adm ka fasana hai duniya

Hovi hai rang-e-taghiyur sai jab namod iss ki
Wohi haseen hai haqeeqat hai zawal jis ki

Kahi qareeb tha yeh guftago qamar nay sun li
Falak pai aam hovi akhter saher nay sun li

Saher nay taray say sun ker sunnai shabnam ko
Falak ki baat batadi zameenh kai mahram ko

Bhar aye phool kai ansoo payam-e-shabnam say
Kali ka nana sa dil khon ho gaya ghum say

Chaman say rota hova mausam-e-bahar gaya
Shabab sair ko aya tha sogawar gaya


Classical Poetry of Allama Iqbal

John Elia Poetry

Here is the one of the my favorite heart touching words by John Elia

Charah Saazon Ki charah saazi se

Dard badnaam Tho nahe Hoga

Ha, dawa do magar yae batla do
Muje Aaraam Tho Nahe Hoga




John Elia Poetry

Tum jab aao gi to khoya hua paao gi mujhey...

Tum Jab Aoo Gi To Khoya Howa Paao Gi Mughay


Tum jab aao gi to khoya hua paao gi mujhey...

Meri tanhaayi mein khwaabon ke siwwa kuch bhi nahi

Meray kamray ko sajaanay ki tamannaa hai tumehin...
Meray kamray mein kitaabon ke siwa kuch bhi nahi

In kitaabon ne barra zulm kiya hai mujh par...
In mein ik rimz hai, jis rimz ka maara hua zehen...

Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam nahi paa skata...
Zindagi mein kabhi aaram nahi paa sakta.....



John Elia Poetry

Haalat-e-Haal Ke Sabab, Haalat-e-Haal Hii Gayii

John Elia's one of the best Poetry


haalat-e-haal kay sabab haalat-e-haal hi gaii
shouq meiN kuchh nahiN gaya shauq ki zindagii gaii

tera firaaq jaan-e-jaaN aish tha kya meray liye
yaani teray firaaq meiN khoob sharaab pii gaii

teray wisaal kay liye apnay kamaal kay liye
haalat-e-dil keh thi kharab aur kharab ki gaii

aik hi hadisa to hai aur woh yeh keh aaj tak
baat nahiN kahi gaii baat nahin sunii gaii

baad bhi teray jaan-e-jaaN dil meiN raha ajab samaaN
yaad rahi teri yahaN phir teri yaad bhii gaii

us kay badan ko dii namood hum ne sukhan meiN aur phir
us kay badan kay waastay aik qabaa bhi sii gaii

sehn-e-khayal-e-yaar meiN ki na basar shab-e-firaaq
jab say woh chandna gaya jab say woh chandni gaii

nasha-e-shauq-e-rang meiN tujh say judaai ki gaii
aik lakeer khoon ki beech meiN kheench di gaii

thi jo kabhi sar-e-sukhan meri woh khaamoshi gaii
haaye kahan sunan ki baat, haaye woh bat hi gaii

shauq ki aik umr meiN kaisay badal sakayga dil
nabz-e-junoon hi to thi sheher meiN Doobti gaii

us ki galii se uTh kay maiN aan paRa tha apnay ghar
aik galii ki baat thi aur gali gali gaii

us ki umeed-e-naaz ka hum say yeh maan tha kay aap
umr guzaar dijiye umr guzaar di gaii

daur ba daur, dil ba dil, dard ba dard, dam ba damm
teray yahaN ri´ayat-e-haal nahiN rakhi gaii

jaun junoob-e-zard kay khaak basar yeh dukh uThha
mauj-e-shmial-e-sabz-e-jaaN aai thi aur chali gaii

kya woh gumaaN nahiN raha? haan woh gumaN nahin raha
kya woh umeed bhi gaii? haan woh umeed bhi gaii

baat koi umeed ki mujh say nahiN kahi gaii
so meray khwab bhi gaye, so meri neend bhi gaii

jaaniye kya talaash thi jaun meray wujood meiN
jis ko maiN DhoonDta gaya, jo mujhay DhoonDti gaii

aik khushi ka haal hai khush-sukhanaN kay darmyaaN
izaat-e-shaaiqeen-e-gham thi jo rahi sahi gaii

jab maiN tha shehr-e-zaat ka tha mera har nafas azaab
phir maiN wahaN ka tha jahaN haalat-e-zaat bhi gaii

tum nay bohot sharaab pii is ka sabhi ko dukh hai jaun
aur jo dukh hai woh yeh hai tum ko sharaab pii gaii

jaan teray firaaq meiN shaam say shab jo ki gaii
khuub sharaab pii gaii aur kharaab pii gaii

shikwa jo hai to is ka hai shikwa nahiN kiya gaya
ranj jo hai to is ka hai baat faqat sahi gaii

sood-o-zayaaN to khair kya in ki tameez hai ajab
waisay isi tameez meiN apni to zindagi gaii

jis ka surood-e-roshni mehfil-e-shab faroz tha
us dil-e-daagh zaar say apni hi roshni gaii




Read More Classical John Elia' Poetry CLICK HERE

Zindaaniyaan-e-shaam o sahar kheiriat sey hain

"Sham o Seher Kheriat Say Hai"
by John Elia

Zindaaniyaan-e-shaam o sahar kheiriat sey hain

Har lamha jee rahey hain magar kheiriat sey hain

Shehr-e-yaqeeN mein ab koi dam kham nahi raha
Dasht-e-gumaaN k khaak basar kheiriat sey hain

Aakhir hai kaun jo kisi pal keh sakey yeh baat
Allaah aur tamaam bashar kheiriat sey hain

Hai apney apney taur pa har cheez iss ghaRi
Mizsgaan-e-khushk o daaman-e-tar kheiriat sey hain

Ab faisloN ka kam nazaroN par madaar hai
Yani tamaam ehl-e-nazar kheiriat sey hain

PeiroN sey aabloN ka wohi hai muaamila
Saudaaiyaan-e-haal k sar kheiriat sey hain

Hum jin gharoN ko choR k aaye thay naagahaaN
Shikwey ki baat hai,wo agar kheiriat sey hain

Loo chal rahi hai,mehw hai apney mein dopahar
Khaak uR rahi hai aur khanDar kheiriat sey hain

Hum ehl-e-shehr apney jawaanoN k darmyaaN
Jaun ! aik moajiza hai agar kheiriat sey hain

Barbaad ho chuka hai hunar ik hunar k saath
Aur apney saahibaan-e-hunar kheiriat sey hain

Shukr-e-Khuda shaheed huey ehl-e-haq tamaam
Bargustawaan-e-teigh o tabar kheiriat sey hain

Ab us ka qasr-e-naaz kahaan aur wo kahaan
Bas dar hai aur banda-e-dar kheiriat sey hain

Hum hain k shaayeri hai hamare liye azaab
Warna tamaam Josh o Jigar kheiriat sey hain

Shayer to do hain......MEER TAQI aur MEER JAUN
Baaqi jo hain wo shaam o sahar kheiriat sey hain !!

Read More John Elia's Poetry Click Here

Shouq ka rang bujh gaya yaad ke zakhm bhar gaye

Shouq Ka Rang Gaya Yaad Ke Zakham Bhar Gaye:



Shouq ka rang bujh gaya yaad ke zakhm bhar gaye

kia meri fasl ho chuki kia mere din guzar gaye?

rehguzar-e-khayal main doush badoush thay jo loug
waqt ki gard baad main jane kahan bikhar gaye

hum bhi hijab dar hijab chup na sake,magar rahay
woh bhi "hujoom" dar "hujoom" reh na sake,magar gaye

sham hai kitni be tapaak,shehr hai kitna "sehm" naak
ham nafaso kahan ho tum?jane yeh sab kidhar gaye?

AAJ KI RAAT HAI AJEEB KOI NAHIN MERE QAREEB
AAJ SAB APNE GHAR RAHE,AAJ SAB APNE GHAR GAYE

MAIN TO SAFOON KE DARMIYAN KAB SE PARA HOON NEEM JAAN
MERE TAMAM JANNISAR MERE LIYE TO MAR GAYE

AAP MAIN JOUN ELIA AB DHARA HAI KIA
AAP BHI AB SUDAHRIYE AAP KE CHARAH GAR GAYE

John Elia Poetry

Hai bikharne ko yeh mehfil-e-rang boo

Fabulous Words By Classical Poet John Elia


Hai bikharne ko yeh mehfil-e-rang boo,tum kahan jawo ge hum kahan jayein ge
har taraf ho rahi hai yahi guftagoo,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge

har mata-e-nafas,nazar aahang ki,hum ko yaran hawas thi bohot rang ki
gul zameen se ubalne ko hai ab lahoo,tum kahan jawo ge hum kahan jawo ge

koi hasil na tha aarzoo ka magar,sanha ab hai yeh aarzoo bhi nahin
waqt ki is masafat main bay aarzoo,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge

kis qadar door se lout kar aye hain,yoon kaho umr barbad kar aye hain
tha saraab apna sarmaye-e-justaju,tum kahan jawo ge ham kahan jayein ge

ik junoon tha ki aabad ho shehr-e-jaan aur aabad jab shehr-e-jaan ho gaya
hain yeh sargoshiyan dar badar ku baku,tum kahan jawo ge ham kahan jayen ge

HUM HAIN RUSWA KUN-E-DILLI-O-LAKHNAWO APNI KIA ZINDAGI APNI KIA AABRU
MEER DILLI SE NIKLY GAYE LAKHNAWO,TUM KAHAN JAO GE, HUM KAHAN JAYEN GE


This is one of the best poetry of John Elia

Tum haqiqat nahi ho hasrat ho...............

Here is Some Classical Poetry of John Elia


Tum haqiqat nahi ho hasrat ho,

jo miley khwaab main vo daulat ho.

main tumharey hi dum sey zindaa hoon,
mar hi jaoun jo tumsey fursat ho.

tum ho kushboo key khwaab ki khushbu,
aur itnee hi be-murawat ho.

kis tarah choodh dun tumhey jaana,
tum meri zindagi ki aadat ho.

kis liyen daikhti hoo aainaa,
tum tou khud sey bhi khobsurat ho.

dastaan khatm honey waali hai,
tum meri aakhri mohabbat ho.

Kitnay Aish Say Rehtay Hongay

KITNE AISH SE REHTAY HONGE KITNAY ITRATE HONGE
JANE KAISAY LOG WO HONGE JO USKO BHATE HONGE


YARO KUCH TO ZIKR KARO TUM USKI QAYAAMAT BAANHON KA
WO JO SIMAT'TAY HONGE UN MEIN WO TO MARJATE HONGE



Poetry By John Elia

Umer guzre gi imtihaan mai kya?

John Elia Poetry: Umer Guzre Gi Imtihaan Mau Kia?


Umer guzre gi imtihaan mai kya?

Daag hi mile gay mujhe daan mai kya?

Bolte kyun nahi mere haq mai,
Ablay par gay zuban mai kya?

Meri her baat bay-asar hi rahi,
Nuks hai kuch mere biyaan mai kya?

Yun jo takta hai asmaan ko tu,
Koi rehta bhi hai asmaan mai kya?

ye mujhe chain kyun anhi parta,
Ek hi shaks tha jahaan mai kya.


John Elia Poetry

LABOON PE HURF NA KOI SAWAL RAKHTA THA

LABOON PE HURF NA KOI SAWAL RAKHTA THA
KABHI MAIN ZABT MAIN ITNA KAMAL RAKHTA THA

KHABAR KIA THI MUGHAY HI WHO BHOOL JAYEGA
EK EK CHEEZ JO MERI SAMBHAL RAKHTA THA

BICHARTE WAQT BAZAHAR TO KUCH NA BOLA THA
MAGAR NIGAH MAIN 100 , 100 SAWAL RAKHTA THA

SUNA HAI LOOG USE AB BOHAT SATATE HAIN
JIS AIK SHAKS KA MAIN ITNA KHAYAL RAKHTA THA



Click here for more classical poetry stuff

tum raaz agar hotay

tum raaz agar hotay,may dil me chupa layti
mehkaati hui ankhyn aylaan na bann jaayen
jab naam tera aata, palkon ko jhukaa layti
tum raaz agar hotay,may dil me chupa layti

tum meri ummeedon ki kashti k liye saahil
manzil kay liye rasta,ankhon kay liye sahil
tum dhoop me jb aaty,ban jati wahin baadal
awaaz agar hotay, geeton may sajaa layti
tum raaz agar hotay,may dil may chupa layti

tum meri taraf chal kar jis raah say bhi aatay
har simt meri ankhyn qadmon k talay paatay
ik meetthi hansi hans kr so phool khila jaatay
ye phool uttha layti, rangon may nahaa layti
tum raaz agar hotay,may dil may chupa layti


Click here for more classical poetry stuff

kuch is ada se aaj woh pehloo nashee rahy

kuch is ada se aaj woh pehloo nashee.n rahy
jab tak hmary paas rahy ham nahi rahy

YARAB kisi k raz-e-mohabbat ki khier ho
dast-e-junoo.n rahy na rahy,astee.n rahy

dard-e-gham-e-firak k yeh sakht marhaly
hera.n hoon mien k phir b tum itny haseee.n rahy

ja or koi zabt ki duniya talash kar
ay ishk ham to ab tery kabil nahi rahy

ALLAH re chashm-e-yaar ki mojiz biyanniyaa.n
har ik ko hy gumaa.n k mukabil hami rahy

is ishk ki talaf yeh maafat dekhna
rony ki hasraatain hain jab aanso nahi rahy




Click here for more classical poetry stuff

tasweer tumhari reh gai

tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai

tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai

ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai

huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai

nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai

ajab jazbaat say us nay jo pukaara: MANA!!
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab

Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitab-E-Zindagi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se NaaMo Pe Dil Machla,
Ek Aisa Safa Bhi Aisa Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska NaaM Dost Tha,
Jo Safa Sabse Pyaara Aur Aziz Tha,
Kuch Aur Aansu Ispe Tapke,

Kitab-E-Zindagi Ko Band Kar Ke
TuMhari Yaadon Mein Kho Gayi Main,
Agar Tu Milta To Kya Hota,
Inhi Khayalon Main So Gayi Main...


Click here for more classical poetry stuff