Thursday, 28 August 2008

Janne kion?????

Aaj usi rah pe hoon main kharda
jahan hoye thay hum tum juda
jahan manzlien alag hoien thien
jahan yeah ankh buhat roi thi
lehrien tere paoon choomtien thien
jahan hawaien tumhain suna kerti thien
jahan khatam hoti thi hud payar ki
jahan shuroo hoi thi raat hijer ki
haan! usi rah pe hoon main kharda
jahan kiye thay tum ne waday
jahan kati thien wasal ki ratien
jahan ki thien buhat C batien
haan! main usi rah pe kharda hoon
per tum jo nahi ho un rahoon pe
to phir kion hoon main kharda
kion ??? janne kion ???????

Kal jo barsat main bheega buhat

Kal jo barsat main bheega buhat
wo dil tujhe yaad ker ke roya buhat

rahi mulaqat adhoori chandni se
her dafa baat main rahi tashnagi buhat

kaisay batien kaisay jeetay hain tere bin
ke tere bad sona dil ka nager buhat

hum us bewafa per dil haray hain
jiski nigha se dil tootay buhat

wo jisko dekha sada muskuratay hoye
janne kion waqat-e-rukhsat wo roya buhat

aik wo jin ko tarasha khuda ne sung-e-mur mur se
aik hum jin ka tha daman dagh dar buhat

koi ho "RAAZ" jis se ghalay lag ker roye
ke in veeran ankhoon main hain tufan buhat

ik Shair(23)

bas ik naam ka tara sada chamkta rahay
ghila nahi jo muqader main mahtab na ho

Aa bhi jaoo ke bahar Aa jaye

ik Shair(17)

Humaray naam ko likh likh ker jo mitata tha
humaray dil main samana use pasand na tha

Bataoo kaisa lagta hai

Bataoo kaisa lagta hai
Jab main nahi hota aas pass
Jab koi nahi chalta Aas pass
Jab dil main ik durd uthta hai
Bataoo kaisa lagta hai
jo wada kia sath nibhanay ka
phir khud hi hum ne torde diya
jab wo wada yaad ata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab ghuzrti ho un rahoon se
phir dekhti ho Wo flats jahan hum millay thay
phir bharta qadam ruk jata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab mahfil main jati ho
logoon main bethti ho
jab ziker maira sunti ho
phir chehra ansoon se bheeg jata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab main nahi hota Aas pass
bataoo kaisa lagta hai

AAS

ajnabi sheher hai
Ajnabi log hain
Phir bhi main chul raha hoon
Is Aas main
Ke
Koi to apna ho ga
Koi to payara ho ga

Thursday, 21 August 2008

Phir rotay Rehna

Yeah kiya ke her dum kisi ki minatien kerna
Kiya is hi ko kehtay hain Muhabbatien kerna

Jo apni Qismet main hai mile ga wohi
Kis baat pe hai RAB se Shikyaitien kerna

Yeah pagalpun nahien to aur kiya hai phir
Zameen ke ho ker asman se baghawtien kerna

Buhat ker chuka hai logo, payar yeah dil
Ab koi sikhaye is ko bhi nufratien kerna

Pehlay Yaad kerna use phir rotay rehna
Janay kab choray ga Dil,yeah herkatien kerna